
Yaqeenan Saadgi Imaan ka hissa hai
Hazrat Abu Umamah Raziyallahu ‘anhu farmaate hain ke Rasulullah ﷺ ke Sahaaba ne ek din Aap ﷺ ke saamne duniya ka zikr kiya to Rasulullah ﷺ ne Irshaad farmaya:
Ghaur se suno, dhiyaan do. Yaqeenan Saadgi Imaan ka hissa hai, Yaqeenan Saadgi Imaan ka hissa hai.
(Abu Dawud: 4161)
Faida: Isse muraad takallufaat aur zaib wa zeenat ki cheezon ko chordna hai.