Sila Rehmi karne waala

Hazrat Abdullah bin Amr (Raziyallahu ‘Anhuma) se Riwaayat hai ke
Nabi Kareem ﷺ ne Irshaad farmaaya:

Wo Shakhs Sila Rehmi karne waala nahi hai jo barabari ka muamla kare yaani dusre ke achcha bartao karne par usse achcha bartao kare balke Sila Rehmi karne waala to wo hai jo dusre ke Qata Rehmi karne par bhi Sila Rehmi kare.

(Bukhari: 5991)

Back to top button