Namaz ke liye daud kar mat aao

Bismillahirrahmanirrahim

Namaz ke liye daud kar mat aao bulki sukun aur waqar ke saath chalo

Abu hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab tum log takbeer ki aawaz sun lo to namaz ke liye chale aao, sukun aur waqar ke saath chalo , aur daud ke mat aao phir namaz ka jo hissa miley usey padh lo aur jo na mil sake usey baad mein pura kar lo
Sahih Bukhari, Vol 1, 636

Back to top button