musalmaan mehfooz rahein

Hazrat Abu Musa Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Sahaba Raziyallahu Anhum ne arz kiya:

Ya Rasulullah kaun se musalmaan ka Islam afzal hai? Irshaad farmaaya:

Jis (musalmaan) ki zubaan aur haath se dusre musalmaan mehfooz rahein.

(Bukhari: 11)

Faida: Zuban se takleef pahunchane mein kisi ka mazaaq udana, tohmat lagana, bura bhala kehna aur haath se takleef pahunchane mein kisi ko nahaq maarna, kisi ka maal zulman lena waghaira umoor shaamil hain. (Fath-ul-Bari)

Back to top button