
Magrib ki Namaz ke baad 10 baar ye padhe
Jo Magrib ki Namaz ke baad 10 baar ye padhega to Allah Subhanahu uski hifazat ke liye Farishta bhejega
لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ يُحْيِي وَيُمِيتُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ
La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu, lahul-mulk wa lahul-hamd Yuhi wa Yumeet, wa huwa Ala kulli shayin qadir
Tarjumah: Allah ke siwa koi ibadat ke layak nahi hai wo akela hai aur uska koi sharik nahi, usee ke liye baadshahat hai aur usee ke liye tarif hai wo hi zinda karta hai aur wa hi maarta hai aur wo har cheez par qadir hai
Umarah bin Shabib As-Sabai radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jo shakhs magrib ke baad 10 baar ye padheto Allah subhanahu uski hifazat ke liye farishte bhejega jo subah tak shaitan se uski hifazat karenge, uske liye 10 rahmat ki nekiya likh di jayegi, uske das barbad kar dene wale gunah mita diye jayenge, aur 10 musalman gulam aazad karne ka sawab ata kiya jayega
Jamia Tirmizi, Jild 2, 1457-Hasan