
Khane se pahle ki dua – Bismillah
Bismillahirrahmanirrahim
Khane se pahle ki dua – Bismillah
Umar bin abu Salmah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki main ek baar Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein hazir hua to aapke samne khana rakha hua tha Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya beta qareeb ho jao aur Bismillah kah kar apne dahine haath se aur apne samne se khao
Jamia Tirmidhi, Vol 1, 1915-Sahih
Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya agar tum mein se koi khana khane lage to Bismillah kahe aur agar shuru mein kahna bhul jaye to ye kahe Bismillah Fi Awwalihi Wa Akhirihi ( Allah ke naam ke saath is ke shuru mein aur aakhir mein)
Jamia Tirmidhi, Vol 1, 1917-Sahih