
Juma ko Surah Al-Kahaf padhne ki fazilat
Bismillahirrahmanirrahim
Juma ko Surah Al-Kahaf padhne ki fazilat
Rasool-Allah sallallahu Alaihi wassllam ne farmaya Jo (Musalman) Juma ke din Surah Al-Kahaf ki tilawat kare to uske liye is juma se agle juma tak ek noor chamakta rahega
Sahih Al jamee 6470,
Mustadrak Hakim 3392-Sahih
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya jisne Juma ke din surah kahaf padhi uske qadmon ke neeche se le kar asman tak noor paida hota hai jo Qayamat ke din uske liye roshan hoga aur uske dono juma ke darmiyan wale gunah maaf kar diye jate hai
Al-Targheeb wa’l-Tarheeb, 1/298-Hasan
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya jisne Juma ki raat (yani jumerat aur juma ke beech ki raat) surah kahaf padhi uske aur baitullah ke darmiyan noor ki roshni ho jati hai
Saheeh Al-Jaami, 6471
Al Baihiqi, Subbul Iman, 2231-Hasan