
Jab bhi koi musalman is dua ko padh kar dua karega to Allah subhanahu uski dua qubul farmaega
Bismillahirrahmanirraheem
Hadith : Jab bhi koi musalman is dua ko padh kar dua karega to Allah subhanahu uski dua qubul farmaega
لَّا إِلَـٰهَ إِلَّا أَنتَ سُبْحَانَكَ إِنِّي كُنتُ مِنَ الظَّالِمِينَ
La ilaha illa Anta subhanaka inni kuntu min Az-zalimeen
Eh Allah tere siwa koi ibadat ke layaq nahi , tu paak hai (aur) beshak mein Qusurwar hu.
Ye aise dua hai ke jab bhi koi musalman isko padh kar dua karega to Allah subhanahu uski dua qubul farmaega
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Dhun-Nun ( Yunus Alahih salam) ki dua jo unhone machli ke pet mein rehne ke dauran ki thi wo ye thi
Jamia Tirmizi – 3505-Sahih