Allah ke nazdeek sabse bura insan wo hai

Bismillahirrahmanirrahim

Allah ke nazdeek sabse bura insan wo hai ji se Allah ke naam se kuch maanga jaye aur wo na de


Ibn Abbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya
kya main tumko aisa shakhs na batauu jo Allah ke nazdeek sabse bura insan hai humne arz kiya Ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ji haa batalaeeye , Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya aisa aadmi jis se Allah subhanahu ke naam ka wasta dekar sawal kiya jaye (yani us se kuch managa jaye) phir bhi wo na de

Sunan Nasaii, Jild 2,480-Hasan

Back to top button