
40 rabbana dua
رَبَّنَا تَقَبَّل مِنَّا ۖ إِنَّكَ أَنتَ السَّمِيعُ العَلِيمُ
Aye hamare RABB hamse ye khidmat Qubul farma beshak tu sunne wala , janne wala hai
ఏ హమారే రబ్ హంసే యే ఖిద్మత్ కుబుల్ ఫార్మా బేషక్ తూ సున్నే వాలా , జన్నె వాలా హై
Surah Al-Baqara (2), 127
رَبَّنَا وَاجعَلنَا مُسلِمَينِ لَكَ وَمِن ذُرِّيَّتِنَا أُمَّةً مُّسلِمَةً لَّكَ وَأَرِنَا مَنَاسِكَنَا وَتُب عَلَينَا ۖ إِنَّكَ أَنتَ التَّوَّابُ الرَّحِيمُ
Aye hamare RABB hame apna farmabardar bana de aur hamari aulad mein se bhi ek jamat ko apna farmabardar bana de aur hame hamare Hajj ke tareeqe bata de aur hamari tauba qubul farma , beshak tu bada tauba qubul karne wala, raham farmane wala hai
ఏ హమారే రబ్ హమే అప్నా ఫార్మబర్దర్ బనా దే ఔర్ హమారీ ఔలద్ మేం సే భీ ఏక్ జమత్ కో అప్నా ఫార్మబర్దర్ బనా దే ఔర్ హమే హమారే హజ్ కే తరీకే బాతాదే ఔర్ హమారీ తౌబా ఖుబుల్ ఫార్మా , బేషక్ తు బడా తౌబాలా ఖుబూల్ కర్నేవాల, ఆర్ రహం ఫర్మానే వాల హై
Surah Al Baqarah (2) : 128
رَبَّنَا آتِنَا فِي الدُّنيَا حَسَنَةً وَفِي الآخِرَةِ حَسَنَةً وَقِنَا عَذَابَ النَّارِ
Aye hamare RABB hamein duniya mein bhi bhalaii de aur aakhirat mein bhi bhalaii de aur hamein dozakh ke azab se bacha
Surah Al-Baqarah (2) : 201
رَبَّنَا أَفرِغ عَلَينَا صَبراً وَثَبِّت أَقدَامَنَا وَانصُرنَا عَلَى القَومِ الكَافِرِينَ
Aye hamare RABB hamare dilo mein sabr daal de aur hamare paanw jamaye rakh aur kafir qaum par hamari madad farma
Surah Al-Baqarah (2) : 250
رَبَّنَا لَا تُؤَاخِذنَآ إِن نَّسِينَآ أَو أَخطَأنَا
Aye hamare RABB agar ham bhul jaye ya galti kare to hamari giraft na farma
Surah Al-Baqara (2) : 286
رَبَّنَا وَلَا تَحمِل عَلَينَآ إِصرًا كَمَا حَمَلتَهُۥ عَلَى ٱلَّذِينَ مِن قَبلِنَا
Aye hamare RABB ham par aisa bhari bojh na daal jaisa tune hamse pahle ke logo par daala
Surah Al-Baqara (2) : 286
رَبَّنَا وَلَا تُحَمِّلنَا مَا لَا طَاقَةَ لَنَا بِهِ وَٱعفُ عَنَّا وَٱغفِر لَنَا وَٱرحَمنَآ ۚ أَنتَ مَولَىٰنَا فَٱنصُرنَا عَلَى ٱلقَومِ ٱلكَٰفِرِينَ
Aye hamare RABB ham par wo bojh na daal jisko uthane ki ham mein taqat nahi aur hamein maaf kar de aur hamein bakhsh de aur ham par raham kar. Tu hi hamara kaarsaz hai , kaafiro ke muqable mein tu hamari madad farma
Surah Al-Baqara (2) : 286
رَبَّنَا لَا تُزِغ قُلُوبَنَا بَعدَ إِذ هَدَيتَنَا وَهَب لَنَا مِن لَّدُنكَ رَحمَةً ۚ إِنَّكَ أَنتَ الوَهَّابُ
Aye hamare RABB , jab tu hamko hidayat kar chuka hai to hamare dilo ko na pher aur apne paas se hamein rahmat ata farma , Beshak tu sabse zyada ata farmane wala hai
Surah Aal-e-imran (3) : 8
رَبَّنَا إِنَّكَ جَامِعُ النَّاسِ لِيَومٍ لَّا رَيبَ فِيهِ ۚ إِنَّ اللَّهَ لَا يُخلِفُ المِيعَادَ
Aye hamare RABB tu yaqeenan logo ko us din jama karne wala hai jiske aane main koi shaq nahi yaqeenan Allah wada khilafi Nahi karta
Surah Aal-e-imran (3) : 9
رَبَّنَا إِنَّنَا آمَنَّا فَاغفِرلَنَا ذُنُوبَنَا وَقِنَا عَذَابَ النَّارِ
Aye hamare RABB ham Imaan laa chuke islye hamare gunah maaf farma aur hame aag ke azab se bacha
Surah Aal-e-imran (3) : 16
رَبَّنَا آمَنَّا بِمَا أَنزَلَت وَاتَّبَعنَا الرَّسُولَ فَاكتُبنَا مَعَ الشَّاهِدِينِ
Aye hamare RABB jo (kitab) tune nazil farmayee hai ham us par iman le aaye aur hamne tere Rasool ki pairwi ki isliye tu hamko gawaho mein likh le
Surah Aal-e-imran (3) : 53
رَبَّنَا اغفِر لَنَا ذُنُوبَنَا وَإِسرَافَنَا فِي أَمرِنَا وَثَبِّت أَقدَامَنَا وَانصُرنَا عَلَى القَومِ الكَافِرِينَ
Aye hamare RABB hamare gunaho aur zyadatiyo ko jo ham apne kaamo mein karte rahe hain maaf farma aur ham ko sabit qadam rakh aur kafiron ki qaum par hamko madad ata farma
Surah Aal-e-imran (3) : 147
رَبَّنَا مَا خَلَقتَ هَذا بَاطِلاً سُبحَانَكَ فَقِنَا عَذَابَ النَّارِ
Aye hamare RABB tune ye befayda nahi banaya hai tu paak hai, toh hame aag ke azab se bacha le
Surah Aal-e-imran (3) : 191
رَبَّنَا إِنَّكَ مَن تُدخِلِ النَّارَ فَقَد أَخزَيتَهُ وَمَا لِلظَّالِمِينَ مِن أَنصَارٍ
Aye hamare RABB tune jis se dozakh mein dala yaqeenan tune usko ruswa kiya aur zalimo ka koi madadgar nahi
Surah Ale-Imran (3) : 192
رَّبَّنَا إِنَّنَا سَمِعنَا مُنَادِيًا يُنَادِي لِلإِيمَانِ أَن آمِنُوا بِرَبِّكُم فَآمَنَّا
Aye hamare RABB hamne suna ke munadi karne wala ba aawaz buland imaan ki taraf bula raha hain ke apne RABB par Imaan lao toh ham Imaan le aaye
Surah Ale-Imran (3) : 193
رَبَّنَا فَاغفِر لَنَا ذُنُوبَنَا وَكَفِّر عَنَّا سَيِّئَاتِنَا وَتَوَفَّنَا مَعَ الأَبرَارِ
Aye hamare RABB hamare gunah maaf farma aur hamari burayeeo ko hamse dur kar de aur hamko duniya se neik bando ke saath utha
Surah Ale-Imran (3) : 193
رَبَّنَا وَآتِنَا مَا وَعَدتَّنَا عَلَىٰ رُسُلِكَ وَلَا تُخزِنَا يَومَ القِيَامَةِ إِنَّكَ لَا تُخلِفُ المِيعَادَ
Aye hamare RAB hame wo ata farma jiska tune apne Rasoolo ke zariye se waada kiya hai aur hamein Qayamat ke din ruswa na karna beshak tu wada khilafi nahi karta
Surah Aal-e-Imran (3) 194
رَبَّنَا أَخرِجنَا مِن هَـٰذِهِ القَريَةِ الظَّالِمِ أَهلُهَا وَاجعَل لَّنَا مِن لَّدُنكَ وَلِيًّا وَاجعَل لَّنَا مِن لَّدُنكَ نَصِيرًا
Aye hamare RABB hamko iss shahar se jiske rehne wale zalim hain nikal kar kahi aur le jaa aur apni taraf se kisi ko hamara madadgar bana
Surah An-Nisa (4) : 75
رَبَّنَا آمَنَّا فَاكتُبنَا مَعَ الشَّاهِدِينَ
Aye hamare RABB ham Imaan laaye to hamein haq ke Gawahon mein likh le
Surah Al-Maida (5) : 83
رَبَّنَا أَنزِل عَلَينَا مَائِدَةً مِّنَ السَّمَاءِ تَكُونُ لَنَا عِيدًا لِّأَوَّلِنَا وَآخِرِنَا
Aye hamare RABB ham par aasman se khana nazil farma ke jo hamare aglon aur pichlon
Surah Al-Maaida (5) : 114
رَبَّنَا ظَلَمنَا أَنفُسَنَا وَإِن لَّمتَغفِرلَنَا وَتَرحَمنَا لَنَكُونَنَّ مِنَ الخَاسِرِينَ
Aye hamare RABB hum ne apni jaano par zulm kiya hai aur agar tu ham ko nahi bakhshega aur ham par raham nahi farmayega to ham jarur tabah ho jayenge
Surah Al-Aaraf (7) : 23
رَبَّنَا لاَ تَجعَلنَا مَعَ القَومِ الظَّالِمِينَ
Aye hamare RABB hamko zalim logo ke sath shamil na kar
Surah Al-Araf (7) : 47
رَبَّنَا افتَح بَينَنَا وَبَينَ قَومِنَا بِالحَقِّ وَأَنتَ خَيرُ الفَاتِحِينَ
Aye hamare RABB hamare aur hamari Qaum ke darmiyan haq ke mutabiq faisla farma de beshak tu sabse achcha faisla karne wala hai
Surah Al-Aaraf (7): 8
رَبَّنَا أَفرِغ عَلَينَا صَبرًا وَتَوَفَّنَا مُسلِمِينَ
Aye hamare RABB ham par sabr daal aur hamein Musalman karke maut de
Surah Al-Araf (7) : 126
رَبَّنَا لَا تَجعَلنَا فِتنَةً لِّلقَومِ الظَّالِمِينَ وَنَجِّنَا بِرَحمَتِكَ مِنَ القَومِ الكَافِرِينَ
Aye hamare RABB hamko zalim logon ke haath se aazmayeesh mein na daal aur apni rahmat se kuffar ki Qaum se nijat ata farma
Surah Yunus (10) : 85-86
رَبَّنَا إِنَّكَ تَعلَمُ مَا نُخفِي وَمَا نُعلِنُ ۗ وَمَا يَخفَىٰ عَلَى اللَّهِ مِن شَيءٍ فِي الأَرضِ وَلَا فِي السَّمَاءِ
Aye hamare RABB tu khoob janta hai Jo ham chupate hain aur jo zahir karte hain , zameen aur aasman ki koi cheez Allah se poshida nahi
Surah Ibrahim (14) : 38
رَبَّنَا وَ تَقَبَّل دُعَآءِ
Aye hamare RABB meri dua Qubul farma
Surah Ibrahim (14) : 40
رَبَّنَا اغفِرلِي وَلِوَالِدَيَّ وَلِلمُؤمِنِينَ يَومَ يَقُومُ الحِسَابُ
Aye hamare RABB mujhko aur mere waldein ko aur momeeno ko hisab wale din baksh dena.
Surah Ibrahim (14) : 41
رَبَّنَا آتِنَا مِن لَّدُنكَ رَحمَةً وَهَيِّئ لَنَا مِن أَمرِنَا رَشَدًا
Aye hamare RABB hame apne paas se Rehmat ataa farma aur hamare kaam mein hamare liye aasani farma
Surah Al-Kahaf (18) : 10
رَبَّنَا آمَنَّا فَاغفِرلَنَا وَارحَمنَا وَأَنتَ خَيرُ الرَّاحِمِينَ
Aye hamare RABB ham Imaan le aaye hamko maaf farma, ham par reham farma tu sabse zyada Reham farmane wala hai
Surah Al-Mominoon (23) :109
رَبَّنَا اصرِف عَنَّا عَذَابَ جَهَنَّمَ ۖ إِنَّ عَذَابَهَا كَانَ غَرَامًا
Aye hamare RABB dozakh ke azab ko hamse dur rakh beshak iska azab badi taklif ki cheez hai
Surah Al-Furqan (25) : 65
رَبَّنَا هَبْ لَنَا مِنْ أَزْوَاجِنَا وَذُرِّيَّاتِنَا قُرَّةَ أَعْيُنٍ وَاجْعَلْنَا لِلْمُتَّقِينَ إِمَامًا
Aye hamare RABB hamko hamari biwiyo aur aulado ki taraf se aankho ki thandak ata farma aur hamko parhezgaro ka Imam bana
Surah Al-Furqan (25) : 74
رَبَّنَا وَسِعتَ كُلَّ شَيءٍ رَّحمَةً وَعِلمًا فَاغفِر لِلَّذِينَ تَابُوا وَاتَّبَعُوا سَبِيلَكَ وَقِهِم عَذَابَ الجَحِيمِ
Aye hamare RABB tu apni Rehmat aur ilm ke sath har cheez par chhaya hua hain toh tu unhein bakhsh de jo tauba karen aur teri raah ki pairwi karen aur Tu unhe dozakh ke azab se bhi bacha
Surah Ghafir (Momin) (40): 7
رَبَّنَا وَأَدخِلهُم جَنَّاتِ عَدنٍ الَّتِي وَعَدتَّهُم
Aye hamare RABB tu unhein hamesha rahne wali jannaton main Shamil kar jinka tune unse wada kiya hai
Surah Al-Momin (40) : 8
رَبَّنَا اغفِر لَنَا وَلِإِخوَانِنَا الَّذِينَ سَبَقُونَا بِالإِيمَانِ وَلَا تَجعَل فِي قُلُوبِنَا غِلًّا لِّلَّذِينَ آمَنُوا
Aye hamare RABB hame aur hamare un bhaiyon ko baksh de Jo hamse pahle Imaan laye hain aur hamare dilo main Imaan walo ke liye koi bugz na rakh
Surah Al-Hashr (59) : 10
رَبَّنَا إِنَّكَ رَءُوفٌ رَّحِيمٌ
Aye hamare RABB tu bada Mehrban aur Raham karne wala hai
Surah Al-Hashr ( 59) : 10
رَّبَّنَا عَلَيكَ تَوَكَّلنَا وَإِلَيكَ أَنَبنَا وَإِلَيكَ المَصِيرُ
Aye hamare RABB tujh hi par hamne bharosa kiya hain aur teri hi taraf ruju karte hain aur teri hi taraf laut kar aana hai
Surah Al-Mumtahina (60) : 4
رَبَّنَا لَا تَجعَلنَا فِتنَةً لِّلَّذِينَ كَفَرُوا وَاغفِر لَنَا
Aye hamare RABB hame kafiron ke liye fitnah na bana aur hamare gunaho ko bakhsh de
Surah Al-Mumtahina (60): 5
رَبَّنَا إِنَّكَ أَنتَ العَزِيزُ الحَكِيمُ
Aye hamare RABB beshak tu hi galib aur hikmat wala hai
Surah Al-Mumtahina (60): 5
رَبَّنَا أَتمِم لَنَا نُورَنَا وَاغفِر لَنَا إِنَّكَ عَلَىٰ كُلِّ شَيءٍ قَدِيرٌ
Aye hamare RABB hamara noor hamare liye mukammal kar de aur hame baksh de beshak tu har cheez par qadir hai
Surah At-Tahreem (66) : 8