
32- AAKHIRAT KI KAAMYAABI KE LIYE KYA KARNA ZAROORI HAI?
32. AAKHIRAT KI KAAMYAABI KE LIYE KYA KARNA ZAROORI HAI?
Aakhirat ki kaamyaabi ke liye chaar kaam karna zarori hai✓
- Emaan laana
- Nek aamaal karna
- Ek dosre ko haq ki takeed karna
- Ek dosre ko sabr ki takeed karna
Allah Ta’ala ne farmaya: “Zamane ki qasam, beshak insaan sarasar nuqsaan mein hai, siwaye un logon ke jo emaan laaye aur nek aamal karte rahe aur (jinho ne) ek dosre ko haq ki wasiyyat ki aur ek dosre ko sabr ki takeed karte rahe”
[Al Asr: 1-3]